GHAZAL

Zakhmi Dil Heart Touching Ghazal in Hindi-fresh sms maza

Zakhmi Dil Heart Touching Ghazal in Hindi-fresh sms maza

dard bhri bewafa shayari ghazal nazm jo dil chu jaye aur dilo ko dhadka jaye. Zakhmi Dil Heart Touching Ghazal in Hindi. pyar dard bhi hai pyar sukoon bhi hai. aaj ki nazm isi par pesh hai. dil lagaya aur dil gawaya diya pata nahi humne aisa kyon kar diya. best romantic hindi shayari ghazal callection. 

Rutho to sahi Agar koi manane waala ho

Karo intezaar bhi Agar koi aane waala ho

Badi muddat se nayi bhige yeh aankhein meri

Koi to ho aisa jo rolaane waala ho

Sab hi haal mera poochh ke chale jate hai

Hai koi jo dil me samaane waala ho

Khushiyaan to shaayad muqaddar me hi nahi hai

Mile gum aisa jo gale lagaane waala ho

Lootne ki khoowahish me chale Kaaflon ke saath

Rehbar na mila jo qaafla lutaane waala ho..


Kabhi teri rafakat se nikalna hi nahi moomkin

Kbhi daaman chura lena bahut aasaan lagta hai,

Kabhi tum rooth’te ho toh ajab mooshkil si parti hai,

Kbhi tum ko mana lena bahut aasaan lagta hai,

Kabhi samjha karo kuchh faisle halaat karte hai,

Kbhi waada nibha lena bahut aasaan lagta hai,

Kabhi kuchh din tumhare bin guzarte hi nahi lakeen,

Kabhi muddat bita lena bahut aasaan lagta hai..


Yaade hai kuchh aisi uss ke naam se wabasta,

Har subha hai jese har shaam se wabasta

Bas uss ke tasawoor se fursat hi nahi milti

Rehti hai uss ki yaade har saans se wabasta

Laakho hai tamanna par yeh duwa hai

Bas naam rahe mera uss k naam se wabasta..

zakhmi-dil-heart-touching-ghazal-in-hindi

Zakhmi Dil Heart Touching Ghazal in Hindi

Woh Mohabbat Se Khafa Hain Mujhe Maloom Na Tha

Ishq Uss Se Na-Rawa Hain Mujhe Maloom Na Tha

Woh Bichadne Laga Mujh Se Toh Anaa Toot Gayi

Rooth Jaana Hi Adaa Hain Mujhe Maloom Na Tha

Subha Hone Pe Bhi Aankho Se Andhera Na Gaya

Raat Suraj Se Khafa Hain Mujhe Maloom Na Tha

Rooth Jaane Pe Manaana Usse Aata Hi Nahi

Yeh Bhi Meri Hi Khata Hain Mujhe Maloom Na Tha

Zindagi Jurm-e-Anasar Hain Zamane Me

Sans Lena Bhi Saja Hain Mujhe Maloom Na Tha..


Mujh ko takdeer ke hatho sy mila kuchh bhi nhi

Aur takdeer ne mujhko diya kuchh bhi nhi

Hath thamo to sitaro ko jhuka sakte hai

Warna hatho me lakeero ke siwa kuchh bhi nhi

Iska matlab hai ke majboor bahut hai woh bhi

Khali kagaz mujhi aaya hai likha kuchh bhi nhi

Apne har ashk me tum mujh ko munakas kar ke

Yeh samajhte ho ke duniya ko pata kuchh bhi nhi

Teri yaado ke sahare hai zinda warna

Jeevan me Aur is dil me bachaa kuchh bhi nhi..


 Jab Uss Ki Dhoon Me Rahaa Karte The

Hum Bhi Chup Chaap Jiya Karte The

Aankho Me Pyas Huwa Karti Thi

Dil Me Toofan Utha Karte The

Log Aate The Ghazal Sun’ne

Hum Uski Baat Kiya Karte The

Sach Samajhte The Uss Ke Waado Ko

Raat Din Ghar Me Rahaa Karte The

Kisi Veerane Me Usse Mil Kar

Dil Me Kiya Phool Khila Karte The

Apna Ghar Sajaane Ki Khaatir

Hum Uska Naam Likha Karte The

Kal Usse Dekhaa Toh Yaad Aaya ‘WASI’

Hum Bhi Kabhi Mohabbat Kiya Karte The..


Zakhmi Dil Heart Touching Ghazal in Hindi

Nighaho ke samander ka thikaana chahte hai hum

Hame tum se mohbbat hai bataana chahte hai hum,

Hume achhi nahi lagti kisi mossum ki shadagi,

Tumhe bas apni saanso me basaana chahte hai hum,

Hamara ghar toh roshan hai hamaare naam se lakeen,

Tumhare naam se jeevan sajaana chahte hai hum,

Hume har haal me tum se akiddat or mohbbat hai,

Tumhare paas aane ka bahaana chahte hai hum..


Zakhmi Dil Heart Touching Ghazal in Hindi

Titli jo ek mujhko mili thi kitaab me

Woh apna aks chhor gayi mere khuwab me,

Ab tak woh mere zehan me uljha sawal hai,

Shamil rahi jo har ghadi mere nisaab me,

Aankhon me nind hai na koi khawaab door tak,

Rehte hai hum bhi aaj kal waise azaab me,

Milta hai gardisho se gale lag ke chand bhi,

Aaye the simat ke faasle kitne saraab me,

Aakhir meri wafaa ka mujhe kya sila mila,

Likha na ek harf bhi uss ne jawaab me..

Zakhmi Dil Heart Touching Ghazal in Hindi. kaisi lagi yeh comments karke jarur batana dosto pasand aaye to apne dosto ko share jarur karna.


Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *