Table of Contents
प्यार में इजहार करने वाली गजल हिंदी में लिखा हुआ,Sad Fresh Ghazal Shayari Romantic. गजल और शायरी दो लाइन वाली गजल. रोमांटिक गजल ग़ज़ल. लाजवाब गजल शायरी.
Sad Fresh Ghazal Shayari Romantic
Tum kyu bane ho dil ka sahaara jawaab do
Ab kaha hai woh pyaar tumhaara jawaab do
Kis ko tha naz apni adaon pe har gali
Kis ne kiya wafa se kinaara jawaab do
Hum to se na sakege judaai ka gum
Yeh koul tha mera ke tumhaara jawaab do
Aik taraf zindagi, aik taraf mout hai
Ab kis taraf karoge ishaara jawaab do..
Sad Fresh Ghazal Shayari Romantic
Mujhse milte hai to milte hai chuooa kar aankhe
Phir wo kis ke liye rahte hai saja kar aankhe
Me unhe dekhta rahta ho jahan tak dekho
Ek wo hai ke jo dekha na utha kar aankhe
Uss jagaha aaj bhi beth’ta ho akkela yaaro
Jis jagha chhor gaye the wo mila kar aankhe
Mujhse nazre wo aksar chura leta hai Armaan
Me ne khaghaz pay bhi dekhi hai bana kar aankhe..
Mohbbato Ne Kaisa Kamaal Kar Daala
Hume To Udasiyo Ki Misaal Kar Daala
Kabhi Mile To Poochhengye Ek Doojhe Se
Ke Kis Ko Kis Ke Gum Ne Nidhaal Kar Daala
Tu Bata Uss Se Kya Kaho ji Mein
Meri Udasi Pe Jo Kisi Ne Sawaal Kar Daala..
Suna Tha Zindagi Ka Safar Bahut Mushkil Hai
Or Hum Ne Kar KE Mohabbat Ise Or Bhi Muhal Kar Daala
Kuchh Hum Bhi Maum Ke The Or Kuchh Tumne Bhi
Zindagi Ko Shoolo Ki Shaal Kar Daala..
Yeh zehmat bhi to rafta rafta rehmat ho hi jati hai
Musalsal gum se gum seni ki aadat ho hi jati hai
Maseeha ho agar tum sa zarurat kya hai marham ki
Ke kaanto se bhi zakhmo ki jarahat ho hi jati hai
Ta’aluq jin se ho un par gilaaya hi karta hai
Mohabbat jin se ho un se shikaayat ho hi jati hai
Samander par-sokoon hai par kinaray shor karte hai,
Meri Hartraf bas rangeen nazaren shor karte hai
Or ab to chaandni tate mujhe achhi nahi lagte,
Sookoon se so nahi sakta ke taare shor karte hai
Mein jab khamosh rehta hoon to sab khamosh rehte hai,
Agar ik lafz bhi boloon to saare shor karte hai
Bahut muddat huyi jab tum mere koche se guzre the,
Per Kadmon ke nishaan ab tak tumhare shor karte hai…
Sad Fresh Ghazal Shayari Romantic
Ashko’ ki zubaan wo kabhi pehchaan na paya
Da’wa tha parkhne ka magar jaan na paya
Aaye to bahut log mere dil me bhi lekin
Tujhsa kabhi dil ne koi mehmaan na paya
Sunte hai ke ik hasar uttha deti hai chaahat
Hum ne to kahi bhi koi tofaan na paya
Saudukh me bhi chehre pe tabasum ki lakire
Is tar’ha ka mene kabhi insaan na paya
Me phir bhi jalaata ho charago’ ko sehar tak
Aane ka tere koi bhi imkaan na paya
Duniya ke sitam sehte bhi dekha tujhe Kesar
Chehre ko kabhi bhi tere veeran na paya..
Bad-naam zamaane me mohabbat nahi karte
Dil wale to dushman se bhi nafrat nahi karte
Ek bar jise chaaha sada uss ke rahe phir
Hum log amaanat me khayanat nahi karte
Tanhayi me kar lete hai yaad aansu baha kar
Zaahir kabhi hum apni ibaadat nahi karte
Waqt aane par maloom yeh ho jaayega aapko
Hum sirf dikhawe ki mohabbat nahi karte
Likhte hai fakat fakat ek tumhare liye Gazal
Har shakhsh pe hum aise enaayat nahi karte..
Sad Fresh Ghazal Shayari Romantic
Kahaniya na suno aas-paas logo ki
Ke mera shehar hai basti udaas logo ki
Mohabbato ka safar khatam hi nahi hota
Hume to dosti aye na raas logo ki
Hume apne yaad aate hai
Chale jo baat kabhi khaas khaas logo ki
Me aane waale zamaane se dar raha ho “Mohasin”
Ke mene dekhi hai aankhe udaas logo ki..
Tumhari raah badalne ki baat kis se karu
Me apne khoowaab bikharne ki baat kis se karu
Abhi woh jaane-e-gazal door hai nighaho se
Abhi me jaan se guzarne ki baat kis se karu
Abhi tahu hijar ki tarikiyaan hai dono taraf
Abhi me chand nikalne ki baat kis se karu
Abhi tahu gamo se nidhaal hai sabhi
Abhi me tere bichhadne ki baat kis se karu
Meri judaai ke gum koi bhi nahi sunta
Tumhare baad sulaghne ki baat kis se karu..
Ek sakhs jo bana meri zindagi ka sawaal tha
Me kis se poochhta har sakhs uss k husn me nidhaal tha
Me kis ko sunaata uski bewafaai ke Kisse
Har kisi par usne parkha jo mohbbat ka jaal tha
Me kis ke darwaaze pe deta dastak
Har sakhs hi ghar se faraar-e-haal tha
Me bhi shamil tha aawargi me sub ke saath
Shaayad woh saal aawargi ka saal tha
Wo paani ki lehro par kya likh raha tha
KHUDA jane hurf-e-duwa likh raha tha
Likha tha jis ne wafaa ki maani adhoore
Woh sakhs pyaar ki inteha likh raha tha
Zara uski aankh se ek aansu na nikla
Woh jis waqt lafz-e-saza likh raha tha
Mohabbat me nafrat mili thi use
Woh har sakhs ko bewafaa likh raha tha
Is Kadar zamaane walo ne usko sataaya
Woh pyaar ke jazbe ko gunah likh raha tha..
Sad Fresh Ghazal Shayari Romantic
Kar na dunya-e-gum ke hawale mujh ko
Me tabasum ho to honton pe sajale mujh ko
Tu milta hai to yehi khouff laga rehta hai
Mera milna kisi uljhan me na daale tujh ko
Is yakeen par hi andhero me safar jaari hai
Mil hi jaayenge kisi roz ujaale mujh ko
Teri nafrat ne to majboor kiya hai jine par
Ab tera pyaar kahi maar na daale mujh ko
Be niyazi ka yeh andaaz nahi kuch bhi ‘Mohasin’
Baat to tab hai k tu dil se nikaale mujh ko..
Zindagi par kitab likhoonga
Uss me sare hisaab likhoonga
Pyaar ko waqt guzari likh kar
Chahto ko azaab likhoonga
Huyi barbaad mohabbat kaisi
Kaisi bikharte hai khawab likhoo ga
Apni khoowahish ka tazkira kar ke
Naam uska jawab likhoonga
Uski aankhen sharaab ki manind
Uska chehra gulaab likhoonga
Me uss ke na milne ke sabaab ko
Apni qismat kharaab likhoonga..
read more : romantic hindi shayari